Monday, February 10, 2020

WOH TUITION WALI LADKI

WOH TUITION WALI LADKI

Mere paas aur bhi ek kahaani hai,
Baat yehi kuch 6-7 saal puraani hain,
Mere school ki classes khatam hone ke baad mera tuition tha,
Ek ladki padhti thi mere sath,
uska naam ***** tha.

Aapko ek baat batadu ki mein 10th tak ladkiyon ke maamle mein bilkul naadan tha,
Pyaar vyaar, Ladkiyon se kese baat karte hain, inn saare chizon se anjaan tha,
Toh chaliye mein sidha kahaani pe aata hu,
Usse judi aapko har baar batata hu.

Height thik thaq aur rang se thodi saavli thi,
Padhai me achi aur harkaton se thodi baawli thi,
Pehla din tuition khatam hone ke baad usne mujhe roka tha,
Maano ki usse baat karne ka diya ek mauka tha.

Uske bolne pe mein ruk gaya,
Piche dekha toh woh aa rahi thi,
Usse kya baat karunga yehi tension sata rahi thi,
Samajh nahi aa raha tha what i did,
Or what i have to do ?

Bade salike se mere paas aayi,
Aur puchti hai oyee!! kaha rehta hai tu ?
Aur mene dheere se mene use bataya,
Ji me ***** se hoon,
phir hum dono bus stand ki taraf badhe,
Almost waha 15 minute tak rahe,
Dusre din woh lunch ke baad mili,
Chehre pe ek alag si muskan khili,
Usne mujhe pucha ki lunch mein kya khaya ?
Ek dabeli with cold drink mene bataya,
Aaj phir wohi hua,
Tuiton khatam hua aur woh khadi thi thodi dur pe,
Main jaane laga aur phir dekha use  ghoor ke,
Usne kaha ruk thodi der,
jana hai muje bhi tu thodi wait kyu nahi kar leta, problem kya hai teri ?
Kal ki tarah hum log ne school se leke bus stand tak ka safar tay kiya,
Woh apne ghar nikli aur mein apne ghar gaya.

Mumbai ka mausam kaafi garam tha,
Waqt ne kiya koi hasi sitam tha,
Next day fir school ki chutti hui,
Thi tuition ki baari,
Ab thodi thodi baat shuru ho gayi thi humari,
Tuition khatam hui, sir ko maine byee kaha,
ISe pehle mujhe rokti woh, aaj mein khud hi ruk gaya,
Woh mujhse puchti jaati aur mein uske har sawaalo ka jawab deta jaata,
Har time rode cross karte waqt mein uska hath pakad liya karta,
Thodi mazakiya si thi woh aur thoda bachpana bhi tha usme,
Mein ab use pagal*****  laga tha kehne,
Raaste mein mujhe woh iss qadar satati thi,
Uske bache bottle ka paani girati thi,
Usi raaste me ek restaurant tha waha woh noodles khati thi aur mujhe bhi kilati hi,
Pagalpan ka level kuch yun ki har doosre building ko woh apne dad ka batati thi,
Social media ka zamaana tha toh zahir si baat hai facebook pe toh aana hi tha,
Uske bheje hue msg ko mein baar baar padhta tha,
Uski boli hui baaton ka mein bakhoobi care karta tha,
kabhi kabhi jab woh naraz ho jaye toh mein darta tha,
Ghar se phone nahi mila tha isliye cyber jaana padta tha,
Apne ghar se leke school tak ki sab baat batati thi,
Beparwah ho kar meri saari baaton ka mazak udati thi,
Aur jab mein rooth jaata toh mujhe manati thi,
APne lunch me se roti aur bhindi ki sabzi khilaati thi,
Mere bus ka wait karne ke liye mere sath tharti thi,
Traffic ka bina dhyan kara woh jebra crossing kiya karti thi,
Isi tarah humari kahaani chal rahi thi,
Ab dheere dheere meri feelings badalti thi.

Ab yeh woh pal tha jaha meri saari aklawazehan khone wali thi,
Agar thoda se bhi chuka naa toh mohabbat hone wali thi,
Uske baaton me dil ke taar ko yun chua,
Jis baat ka darr tha aakhir kaar wohi hua,
Mujhe bohat logo ne bataya tha ki yeh barbaadi ki nishaani hain,
Yeh ek pagal kar dene wali ek uljhi si kahaani hain,
Par mein kaha maane wala tha,
Mujhe laga bhala iska kya jawab hain,
Usme ek alag sa nasha hain,
Yeh ek khoobsurat sa khwab hain,
Maine use bataya ki mujhe ho gaya hai usse pyaar,
Aur usne bade hi khoobsurti se bol diya hum log best friend hain yaar,
Kuch aur baat karte hain yeh saari baatein hai bekaar,
Her reaction was really out of the blue,
Mujhe samaj nahi aaya ab mein kya karu,
Mein sochta tha mein uske duniyaa ka hero tha,
Yeh woh fraction tha jiska numerator zero tha.

Uske hothon se nikle hua har lafzon par rehta tha mera pehra,
Miss karta tha, karta hoon, aur karta rahunga uska woh " i cant ecplain in words " wala chehra,
Boht zyada dhundha use, ab samaj nahi aa raha kya kare,
Aaj bhi aisa lagta hai naa ki woh zaroor hai yahi kahin pe,
Pata nahi jo hua woh galat tha ya sahi,
Yeh woh kahaani thi jo kabhi shuru hi nahi hui.

THANKYOU

- BHAVYA KARANIA

6 comments: